About Beauty Tips For Women
Source (google.com.pk)
Beauty Tips
Color and fragrance make sense of life. Stage of selection or display of clothing, color selection and coordination of legal personality is polishing. So we set up to choose the colors and the principle of balance should be taken into account. Make your choice in how this principle should be adopted the need to keep some things in mind.
Beauty Tips
Rung-o-khushbu hamein zindagi ka ahsaas dilate hain, fitrat ka husn in ki tarteeb aur tawazan se ebarat hai. lebas ka intekhab ho ya singhar ka marhalah, rungon ke intekhab aur in ke durust taal mein hisse shakhsiyat mein nikhar aata hai. isi liye make up mein rungon ka intekhab karte huye hamein tarteeb-o-tawazan ke asul ko pesh nazar rakhna chahiye. Make up ke intekhab mein bhi yeh asul rakhna chahiye. Make up ke intekhab mein bhi
Beauty Tips
yeh asul kis tarah apnaya jaye, is zaman mein kuch batein dheyan mein rakhan chahiye.
Hands:
Amuman khawateen ke hathon se in ki umer ka andazah ba khubi lagaya ja sakta hai. Agar hathon par gair maamuli tor par jhurriyan par jayain to khawateen khasi pareshan hoti hain. Apne hato ko khub surat banate ke liye aap kisi meyari cream ya lotion ka intekhab karein aur raat ko sone se pehle khub achi tarah lotion lagane ke baad ise kisi tissue paper se saaf karein, koshish yeh karein keh lotion ya cream aap ke hathon ki fingers mein jazb hojaye.
Nail:
Jism mein iron ki kami ke bais nakhunon par sufaid daagh dhabbe par jate hain, jo bad numa dekhayi dete hain. Yeh koi bara maslah nahi. Yeh dhabbe dur karne ka aik aasan tareeqa yeh hai keh aap chand dinon ke liye apne nakhunon par lemon ka arq lagayain aur apne liye aisi khorak ka intekhab karein jo iron se bharpur ho.
Hair:
Aap ke sar ke baal agar ruche aur be rung hogaye hain to aap apne baalon ke liye mawafiq tail (oil) mein lemon ka arq milayain aur baalon par rozanah lagayain. Amuman khawateen baalon ko chamak dene ke liye tarah tarah ke shampoo istemaal karti hain, is se baalon ki jarein kam zor ho jati hain aur in ki chamak khatam ho sakti hai.
Teeth:
Agar aap ke daant aap ki lakh koshish ke bawajud chamak damak se mahroom rehte hain to is masle se nijaat ke liye bas aap ko lip stick ke intekhab mein kuch tabdili karni hai, halke rungon ki lip stick ke istemaal se danton ki maili rungat wazah nahi hogi, is ke moqable mein ghehri lip stick ya lip pancil aapke danton ko numaya karti hai.
Eye Laces:
Agar aap apni palkein bari karne ki khuwhish rakhti hain to is ke liye aik aasan tareeqa yeh hai keh raat ko sote waqt sarson ka tail(oil) palkon par lagayain is tarah aap ki palkein bari hoti jayingi aur masnuyi palkein lagane utarne ke jhanjhat se bhi chukara mil jaye ga.
Lips:
Lips agar black ho to khase badnuma mahsus hote hain aur aap ki shakhsiyat bhi is se mutasir hoti hai. lips ki siyahi dur karne ke liye har roz raat mein lips par zaafran lagayain aur panch minute baad thande pani se dholein. Chand dinon ki mehnat ke baad aap ke honton ki rungat gulabi ho jaye gi aur sardi mein aap ke hont khushki se bhi mehfuz rahein gay.
Care of Make Up Box:
Khobsurat aur dil kash banne ke liye aap nit naye tareeqe istemaal karti hain, har tarah ki ashya ka intekhab kia jata hai. lekin aksar khawateen is baat se be khabar rehti hain keh apne make up box ya bag ki safayi bhi zaruri hai balkeh besh tar khawateen to ise zaruri hi nahi samajhti. Hala keh make up box ya bag ki baqaidah safayi hafte mein aik martabah karni chahiye, kiun keh in ki tahon mein germs paida pate hain jo aap ki jild ko noqsaan puncha sakte hain. Behtar to yeh hoga keh aap plastic ke make up box ka intekhab karein kiun keh ise dhone mein bhi aasani rehti hai. In chand sada tareeqon se aap make up aur husn afza masnuaat se be neyaz ho jayein gi.
No comments:
Post a Comment