About Beauty Tips For Face
Source (google.com.pk)
Face Beauty Tips
Some tips of Hair care, skin care and dark circle eyes. Beauty tips in urdu. Read tips of Wrinkles on Face , Face Care, Dry Face Skin Home Remedies, face fair tips Urdu, Keel Mahasay, Acne, Pimples, Face ki Hifazat and Kharish Ka Ilaj, Chehre Pe Til, Jhurriyan, Face ke Daag, Face ki Hifazat in Urdu.
Face Care Beauty Tips in Urdu:
Face ke Daag Dhabbe kay liye:
Mooli(radish) kay seed 5 tolah lay kar in ko achi tarah saaf kar kay pees kar powder bana lein aur shishi mein rakh lein. Raat ko 6 mashah lein thori si dahi mila kar yakjan kar lein aur dhobon par khoob mal lein. Chand dinon mein dhabbay khatam ho jayein gay.
Face ki Kharish kay liye:
Mooli (radish) ka pani nikal kar pin chaan kar kharish wali jagah par mal kar das minute baad dholein.
Gallon kay Siyah Daghon kay Liye:
Bhais kay dhoodh ki balayi 5 tolah lekar 6 qatray lemon kay nichor dein aur khoob achi tarah hal karein.
Gallon(face) ka Rung Saaf Karnay kay Liye:
Subha saweray(morning) pari huyi shamnam(dew) ko chehray par malnay say rung saaf hojata hai. chehray par chamak paida hoti hai.
Gallon par Khushki Khurduray Pan kay Liye:
Taza dhoodh mein chand qatray arq gulab aur lemon kay qatray milanay say jo aamezah taiyar ho ta hai, raat ko chehray par malnay say khurdura pan door ho jata hai.
Sangtaray kay Chilkon ka Pisa Hua Powder 5 toalah, besan 5 tolah, haldi 1 tolah, chanbeli kay tail(oil) mein khoob phaint kar ubtan taiyar kar lein aur raat ko laga yein. Jald molaim aur chamak dar ho jaye gi.
Gallon ko Surkh-o-Sufaid Karna:
Taza ya khushk poday ko achi tarah dho kar saaf kar lein. Isay pani mein achi tarah ubal lein. Is ka tamam asar hasil kar lein. Phir isay chaan kar bottle mein bhar lein. Do spoon har roz nehar monh pi lein. Laga tar istemaal say faidah hoga.
Gallon ki Jhurriyan(Wrinkle) Door Karnay kay Liye :
Din mein teen bar taza lemon ka ras malein. Nisf ghantay ( ½ hour) kay aad dho dein.
Arq ghulab 5 tolah, badam roghan 1 tolah, phitkiri pisi huyi 1 tolah, andon ki sufaidi 4, sab ko mila kar khoob phait lein phir halki aag par itna pakayein, keh marhum sa ban jaye. Chehray par lagayein. Malish karein. 15 din mein faidah ho ga.
Chehre Pe Til Door Karna:
Khatti lassi jo khoob tarsh aur garhi ho is say chehray ko khoob mal mal kar ragarein das minute baad dho dein cheray achi tarah khushk ho jaye to arq gulab aur glasreen barabar wazan mehlool bana kar cheray par malein. Aik ghantay baad dho dein. Chand din aisa karnay say chehre pe til door ho jayein gay.
Chehray ki Deikh Bhal:
Yeh to phunsiyon(acne) aur mahason ka ilaaj ho is kay baad bhi aap rozanah maamool kay motabiq deikh bhal karein.
1- Chehray saaf rakhain sotay waqt koi acha sa cleansing laga kar chehray par kafi moqdar mein thanday pani say chitay marein aur sookhnay dein.
2-Buhat masalha dar aur tala hua khana mat khayein.
3- Sweet, chocolet aur cake say parhaiz karein.
4- Chaye(tea) aur coffe ka istemaal kam karein.
5- Din bahr mein kam az kam 10 say 12 glass pani piyein.
6- Vegetable aur fruit ka istemaal ziadah karein.
Glowing Skin Tips
Egg, cucumber, lemon, honey, milk, butter and banana are all are natural and we use all things as a food. These foods are also benefit for us as a beauty tips.
If you want a healthy, glowing complexion, drink plenty of water. Water detoxifies the skin and keeps acne at bay. Wash your face on and off with good medicated soap and lukewarm water to keep away the dirt and impurities. Eat a balanced and healthy diet. Hot fomentation to open pores and rinsing the skin with cold water after squeezing waste is an effective remedy. Sun and air baths for the body are beneficial to the skin. A teaspoon of coriander juice mixed with a pinch of turmeric powder is also considered an effective remedy to treat acne scars naturally.
There are 8 different tips which is benefit for glowing skin. Anyone who want to glowing skin they act on this tips and get a glowing face. Here you can find beauty tips for skin, glowing skin, face care tips in urdu, skin care tips, khoobsurat skin, jild ki hifazat Urdu and oily skin tips read in Urdu..
Beauty Tips for Skin in Urdu:
Koi bhi shakhs jo ghar baithay khoobsurat skin chahta hai mandarjah zel formula faida mand hai.
8 mukhtalif home beauty tips mandarja zeel hain jis par amal kar kay aap apni skin ko glowing skin(khoobsurat skin) bana saktay hain.
1-Egg white aur shehad(honey) kay mask jo ke aap kay face kay khechao ko door karta hai.
2-Cucumber qudrati cleanser hai. Doodh mein Cucumber jouice milayein aur face par 15 minute kay liye laga rehnay dein. Is kay baad dho lein.
3-Oily skin kay liye grapes, lemon juice aur egg white kay mixture ko face par lagayein. 20 minute kay liye isay chor nay kay baad neem garam pani say dho lain. Lemon natural clenser kay tor par, grapes aap kay jild ko soft aur egg white jild ko tight karnay mein madad farahum karta hai.
4-Lemon katain aur isay apnay chehray par rub karein. Isay 20 minutes kay liye chor dein is kay baad thanday(cold) pani say dho lein. Agar aap ki skin dry hain to yeh amal na karein.
5-Honey aur milk ka mixture banayein aur face par lagayein. Aap ki skin chakmakdar ho jaye gi.
6-Body kay skin ko molaim karnay kay liye. podina aur almonds ka paste banayein aur jisam par lagayein aur isay dry honay tak chor dein is kay baad neem garam pani say dho lein soft aur smooth skin ho jaye gi.
7-Doodh aur butter ka mix 15 minute kay liye skin par laga rehnay dein yeh skin ko khushk kiye be ghair tamam oil khushk kar lega.
8-Jild ko tar-o-taza rakhnay kay liye 1 banana rozanah skin par lagayein jild khoobsurat ho jaye gi.
No comments:
Post a Comment